laakh mujhe dosh pe sar chāhiye
sail-e-balā ko mirā ghar chāhiye
zād-e-safar se kahīñ kaTtī hai raah
dil meñ faqat shauq-e-safar chāhiye
ḳhair ho tābānī-e-ḳhurshīd kī
shab ke dulāroñ ko sahar chāhiye
ab ye talab hai ki havas chhoḌiye
peḌ nahīñ mujh ko samar chāhiye
māñgte haiñ vo bhī zamīñ se murād
sū-e-falak jin kī nazar chāhiye
ab unheñ sāhil na Dubo de jinheñ
paar utarne ko bhañvar chāhiye
mujh ko to hai ḳhāna-ḳharābī pasand
aap kaheñ kis liye ghar chāhiye
mujh sā bhī me.ār-talab kaun hai
dukh bhī mujhe koī amar chāhiye
kuchh nahīñ aatā to ḳhushāmad hī siikh
haath meñ koī to hunar chāhiye
pūchh to luuñ rāhzan-e-vaqt se
merī kalā yā mirā sar chāhiye
teġh kī 'rāshid' thī zarūrat mujhe
maiñ ye samajhtā thā sipar chāhiye