lā.eq-e-dastār āḳhir koī sar honā hī thā
ik na ik din to ye qissa muḳhtasar honā hī thā
dekh kar ashk-e-nadāmat aa gayā rahmat ko josh
ab to merī har ḳhatā ko dar-guzar honā hī thā
chashm pur-nam thī na mere hoñToñ par shikva-gila
mere ġham se har kisī ko be-ḳhabar honā hī thā
inqilāb-e-vaqt kā parcham thā mere haath meñ
zīnat-e-dār-o-rasan to merā sar honā hī thā
dāstāñ merī zabāñ se sun rahe the apnī log
merā har hamla yaqīnan kārgar honā hī thā
apnī be-nūrī pe nargis kab talak rotī bhalā
ik-na-ik din to chaman meñ diida var honā hī thā
sohbat-e-ahl-e-hunar meñ umr guzrī hai tamām
fikr-e-'māhir' ko kabhī to mo'atabar honā hī thā