merā vahm-o-gumān rahne de
sun mujhe be-zabān rahne de
dard-e-dil kāmrān rahne de
ai mohabbat javān rahne de
mujh meñ ūñchī uḌaan rahne de
merī hasrat javān rahne de
murda logoñ kī bastiyāñ vīrāñ
mere jazboñ meñ jaan rahne de
jā-ba-jā jam.a sūrajoñ kī bhiiḌ
maan ai āsmān rahne de
ek chup sī lagī huī achchhī
rahne de dāstān rahne de
maiñ bhī ḳhud ko bachā sakūñ ḳhud se
aisā harf-e-bayān rahne de
kaam banñe lageñ agar yūñhī
sab ke sab raam baan rahne de
granth ik prem kā paḌhā mujh ko
aur kitāboñ kā gyaan rahne de
aag meñ jal rahā huuñ barsoñ se
ab mirā imtihān rahne de