us ek shaḳhs kā koī pata nahīñ miltā
ki us ke ba.ad to kuchh bhī nayā nahīñ miltā
vo aa.ine se bhī nazreñ churā rahā hogā
ki us kā ruup hī us se zarā nahīñ miltā
vo dhuup chhāñv kare kahkashāñ bahār kare
vo arz-o-tūl ke andar bañdhā nahīñ miltā
vo jism ruuh ḳhalā āsmān hai kyā hai
ki rañg koī ho us se judā nahīñ miltā
kabhī kabhī hī ḳhazāne nasīb hote haiñ
banā banāyā huā sab sadā nahīñ miltā
banā to rakkhā hai munsif ko apnā pahre-dār
vo apne jurm se lekin rihā nahīñ miltā
ai kā.enāt zarā muTThiyāñ to khol kabhī
pata jo rakhtā ho mālik tirā nahīñ miltā