shiddat-e-dard meñ ehsās kā kirdār miyāñ
apne hone meñ kahāñ ḳhud kā hai iz.hār miyāñ
ham bhī kho Daal rahe haiñ ki badal jaa.eñ zarā
aql-e-bebas kī sune dil nahīñ tayyār miyāñ
DhūñD kuchh log muqābil huuñ jahāñ maiñ tere
shar-e-nāqis meñ kahāñ ham se haiñ ġham-ḳhvār miyāñ
gungunā bazm-e-jahāñ shahd shakar shahd shakar
baat rakhte haiñ laboñ par ki haiñ auzār miyāñ
jhuuT ko jhuuT kahūñ sach ko kahūñ sach lekin
aa ulajhtī hai mire sar koī talvār miyāñ
aañkh kholūñ to nazar aa.eñ añdhere kyuuñ kar
sab ujāle haiñ mirī niiñd ke bīmār miyāñ