Vishal Khullar

waqt ki ungli pakDe rahna achchha lagta hai

Vishal Khullar

Chandigarh, India

1980
vaqt kī uñglī pakḌe rahnā achchhā lagtā hai
ham ko chalte-phirte rahnā achchhā lagtā hai
ek samundar lākhoñ dariyā dil meñ ik tūfān
shām-o-sahar yuuñ milte rahnā achchhā lagtā hai
kitnī rāteñ sote sote guzrīñ ḳhvāboñ meñ
lekin ab to jagte rahnā achchhā lagtā hai
sach ke darvāze par dastak detā rahtā huuñ
aag kī lapTeñ oḌhe rahnā achchhā lagtā hai
phūloñ ke khilne kā mausam duur talak lekin
ġhuncha ġhuncha simTe rahnā achchhā lagtā hai
lamha-lamha pal-pal maiñ ne tum se bāteñ kiiñ
paas tumhāre baiThe rahnā achchhā lagtā hai
sūraj oḌhā taare oḌhe oḌhe din aur raat
ham ko jalte-bujhte rahnā achchhā lagtā hai
tanhā.ī meñ baiTh ke pahroñ tum se bāteñ kiiñ
ham ko ġhazleñ paḌhte rahnā achchhā lagtā hai
kitne saare chehre badle lekin ab 'khullar'
ek salīqa oḌhe rahnā achchhā lagtā hai
Top Urdushayar.com