Vishal Khullar

lamha lamha shor sa barpa hua achchha laga

Vishal Khullar

Chandigarh, India

1980
lamha lamha shor sā barpā huā achchhā lagā
ḳhāmushī kī taan TuuTī vāhima achchhā lagā
āñkhoñ āñkhoñ meñ huā ik hādisa achchhā lagā
milne vaale kyuuñ tujhe ye fāsla achchhā lagā
kaun jaane kaun būjhe dāstāñ-dar-dāstāñ
kuchh havā kā kuchh diye kā hausla achchhā lagā
jaan kī baazī lagā dī bhed ke khulne talak
ishq vāloñ ko hamārā falsafa achchhā lagā
ik pahelī ko musalsal sochtā huuñ to mujhe
bā-vafā achchhā lagā ki bevafā achchhā lagā
lutf-e-manzil hausloñ se aa lagā thā gaam gaam
tū safar meñ saath thā to rāsta achchhā lagā
umr kī uktāhaTeñ aur dard ke pahlū tamām
jab se 'khullar' tū milā hai aa.ina achchhā lagā
Top Urdushayar.com