āsāñ nahīñ hai jāda-e-hairat ubūrnā
hairāñ hue baġhair use mat ubūrnā
mere ḳhilāf koī bhī baktā rahe magar
sīkhā hai maiñ ne sarhad-e-tohmat ubūrnā
sad-āfrīñ ḳhayāl to achchhā hai vāqa.ī
āñkhoñ ko band kar ke mohabbat ubūrnā
āvārgān-e-ishq zarā ehtiyāt se
lazzat ke ba.ad lazzat-e-shahvat ubūrnā
ta.amīr-e-māh-o-sāl meñ tāḳhīr ke baġhair
kis ko ravā hai arsa-e-mohlat ubūrnā
juzv-e-badan banegā to bāhar bhī aa.egā
ye zaḳhm thoḌī der se hazrat ubūrnā