Iftikhar Falak Kazmi

har mushkil aasan banane wala tha

Iftikhar Falak Kazmi

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1992
har mushkil āsān banāne vaalā thā
maiñ patthar ke paan banāne vaalā thā
ḳhvāboñ kī tāvīl samajh se bāhar thī
jab maiñ pākistān banāne vaalā thā
haq baahū haq baahū kah kar ek faqīr
baahū ko sultān banāne vaalā thā
mujh aisā bahlol kahāñ se lāoge
naar se jo nārān banāne vaalā thā
shahzādī ne jis kī ḳhātir zahr piyā
ik dehātī naan banāne vaalā thā
aap ne merā haath na thāmā hotā to
maiñ ḳhud ko shaitān banāne vaalā thā
darvāzoñ kī saakh bachāne kī ḳhātir
dīvāroñ ke kaan banāne vaalā thā
aap kī ik ik baat ġhazal meñ Dhaal ke maiñ
aan kī aan meñ taan banāne vaalā thā
Top Urdushayar.com