dar-o-dīvār ḳhud-kushī kar leñ
ham jo nā-chār ḳhud-kushī kar leñ
phir na kahnā mazāq thā pyāre
vāqa.ī yaar ḳhud-kushī kar leñ
kaam karnā hī shart hai to phir
kyuuñ na is baar ḳhud-kushī kar leñ
jin charāġhoñ ko maut kā Dar hai
vo sar-e-dār ḳhud-kushī kar leñ
us se pahle ki sāma.īñ sevam
aham kirdār ḳhud-kushī kar leñ
jo haiñ nādāñ vo zindagī jheleñ
aur samajhdār ḳhud-kushī kar leñ
maiñ to kahtā huuñ josh kī māneñ
sab qalam-kār ḳhud-kushī kar leñ