raushnī kī Dor thāme zindagī tak aa ga.e
chor ahd-e-sāmrī ke jal-parī tak aa ga.e
vā.izān-e-ḳhush-havas kī jhiḌkiyāñ sunte hue
lā-shu.ūrī taur par ham sarḳhushī tak aa ga.e
Dhol piiTā jā rahā thā aur ḳhālī peT ham
hañste-gāte thaap sunte Dholchī tak aa ga.e
vāhimoñ kī nā-tamāmī kā ilāqa chhoḌ kar
kuchh parinde haath bāñdhe sabzagī tak aa ga.e
bhaa.ī bahnoñ kī mohabbat kā nasha mat pochhiye
be-takalluf ho ga.e to gudgudī tak aa ga.e
chāk-e-tohmat par ghumāyā jā rahā thā ishq ko
jab hamāre ashk ḳhvāb-e-ḳhud-kushī tak aa ga.e
gāliyāñ bakne lage ġhusse hue laḌne lage
raqs karte karte ham bhī ḳhud-sarī tak aa ga.e
ai hasīñ laḌkī tumhāre husn ke lazzat parast
kāfirī se sar bachā kar shā.irī tak aa ga.e