ḳhaak meñ lipTī kahānī aur hai
rañg lekin āsmānī aur hai
kal talak vo bāñTtī ḳhushbū rahī
ab havā kī chheḌ-ḳhāni aur hai
dhuup ke sahrā meñ chal kar dekhnā
ābloñ kī shādmānī aur hai
chīñtiyoñ se phir mirā va.ada huā
ek koshish āzmānī aur hai
raat ke ghar meñ baḌā kohrām thā
sub.h kī ab be-zabānī aur hai
titliyoñ ko thī sabā kī justujū
gulistāñ meñ hukmarānī aur hai
koñpleñ izn-e-safar kī muntazir
zard pattoñ meñ kahānī aur hai
mehrbāñ phūloñ pe lagtī thī havā
bahte paanī kī ravānī aur hai
haañ nadāmat tujh ko honī chāhiye
haif 'ja.afar' paanī paanī aur hai