aarzū ābād hai bikhre khañDar ke aas paas
dard kī dahlīz par gard-e-safar ke aas paas
ḳhaar kī har nok ko majrūh kar dene ke ba.ad
lauT jaanā hai mujhe barg-o-samar ke aas paas
dīdanī haiñ chāhatoñ kī narm-o-nāzuk laġhzisheñ
gardish-e-ayyām meñ shām-o-sahar ke aas paas
duur ik ḳhāmosh bastī kī galī meñ dekhnā
hai tamannā mutma.in maḳhdūsh ghar ke aas paas
chhā ga.ī tūfān ke hoñToñ pe shaitānī hañsī
dekh kar kashtī shikasta sī bhañvar ke aas paas
jab koī raushan nishāñ miltā nahīñ hai dhund meñ
DhūñDhtā huuñ naqsh-e-pā rāh-e-guzar ke aas paas
phuul pattoñ kī fazā se saj ga.ī duniyā marī
hai kahāñ armāñ mirā la.al-o-guhar ke aas paas
be-niyāzī vaqt se mujh meñ na qaa.em ho sakī
maiñ sadā hāzir rahā taaza ḳhabar ke aas paas
kūcha-e-dildār kā rañgīñ zamāna 'sāhnī'
aaj bhī ābād hai zaḳhm-e-jigar ke aas paas