andāz kisī kā hai sadā aur kisī kī
hai choT koī aur davā aur kisī kī
tabdīl-shuda shaḳhs nazar aane lagā vo
tevar meñ sajā kar ke adā aur kisī kī
ik shoḳh se sairāb nazar hone lagī hai
qābiz hai magar dil pe hayā aur kisī kī
rahtā thā gurezāñ jo sadā merī vafā se
DhūñDe hai vahī aaj vafā aur kisī kī
ḳhāmosh fazā thāme rahā vo mire haq meñ
maiñ le ke chalā aayā duā aur kisī kī
tūfāñ meñ chaman apne pareshāñ to bahut thā
āsūda nahīñ pā ke sabā aur kisī kī
likhā hī nahīñ jurm mire naam ke aage
huuñ pā ke bahut ḳhush maiñ sazā aur kisī kī
hai ḳhuub daraḳhshāñ sā na.e shahr meñ aa kar
chipkā ke badan par vo ziyā aur kisī kī
ai 'sāhnī' kyuuñ aisā huā mujh ko batānā
raushan hai tire ghar meñ fazā aur kisī kī