tamāshā ik anokhā sā dikhānā
taraddud meñ khulā chehra dikhānā
use maiñ raam kar lūñgā yaqīnan
bharī mahfil meñ bas tanhā dikhānā
hamesha josh meñ rahnā nahīñ hai
kabhī jazba bahut dhīmā dikhānā
agar kahnā huā mushkil zabāñ se
ishāroñ meñ na.ī duniyā dikhānā
dilāse ke liye vo aa ga.e haiñ
koī zaḳhmī koī murda dikhānā
use āsān hai fankār hai vo
kisī maġhmūm ko hañstā dikhānā
samar puḳhta hamārā ho rahegā
shajar ke paas tum Dhīlā dikhānā
zarā bahte hoī paanī ko 'ja.afar'
mirā taptā huā sahrā dikhānā