Jafar Sahni

baiTha tha tan ko Dhank ke jo garm shaal se

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
baiThā thā tan ko Dhāñk ke jo garm shaal se
mushkil meñ paḌ gayā vo sitāroñ kī chaal se
ḳhāmoshiyoñ kī raah pe ho kar ke gāmzan
rakhnā kabhī na soch kā rishta malāl se
ummīd aisī un se matānat kī thī nahīñ
bachche bigaḌ ga.e haiñ bahut dekh bhaal se
dam-ḳham to kuchh nahīñ thā haqīqat ke naam par
ghabrā gayā jahān hamārī majāl se
kuchh maslahat ke naam pe chup chaap ham rahe
vāqif the varna vaqt ke poshīda haal se
chādar pe āsmān kī bikhrī thī chāñdnī
ārāsta zamīn thī is ke jamāl se
tum shahr jā rahe ho to jaao magar vahāñ
armāñ mileñge dekhnā behad niDhāl se
afsurda fikr thī jo qadāmat ke ḳhol meñ
shādāb ho ga.ī hai vo raushan ḳhayāl se
ik patte kī bisāt tumhārī hai 'sāhnī'
miTTī meñ jā miloge judā ho ke Daal se
Top Urdushayar.com