Jafar Sahni

jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
jabīñ pe shahr kī likh kar fazā udāsī kī
bahut hai ḳhush koī de kar duā udāsī kī
hayāt pā na sakegī husain sī ḳhvāhish
samā.atoñ meñ hai jab tak sadā udāsī kī
falak ke chāñd sitāroñ meñ raushnī kam hai
mujhe to lagtī hai is meñ ḳhatā udāsī kī
chahaktī shaam meñ ma.asūm qahqahoñ ke biich
sajī hai kyuuñ tire sar par ridā udāsī kī
charāġh shauq se āḳhir vo ho gayā raushan
liye thī qaid meñ jis ko ghaTā udāsī kī
na ho sakā mujhe ma.alūm kar ga.ī kaise
mire vajūd ko larzāñ havā udāsī kī
ġhamoñ kī rut se kabhī dil figār mat honā
ḳhushī luTā ga.ī aksar adā udāsī kī
masarratoñ se kahīñ dil-rubā sitam niklā
lapeTe shaal bahut ḳhushnumā udāsī kī
ajiib haal hai 'ja.afar' badalte mausam kā
kisī ko kar ga.ī shādāñ sazā udāsī kī
Top Urdushayar.com