Jafar Sahni

dil mein KHayal-e-ishq tha mehman ki tarah

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
dil meñ ḳhayāl-e-ishq thā mehmān kī tarah
armāñ sajā thā 'mīr' ke dīvān kī tarah
vus.at zamīñ kī kho ga.ī bastī kī bhiiḌ meñ
galiyoñ meñ shor bas gayā maidān kī tarah
sar par falak ko oḌhe bichhā.e zamīn vo
baiThā hai shaan se kisī sultān kī tarah
ġhāfil mire vajūd se saaya mirā rahā
thā ham-safar vo shahr meñ anjān kī tarah
rakhtā huuñ maiñ aziiz rivāyat kā silsila
girte mire makān ke dālān kī tarah
ye munfa.il sī zindagī mujh ko nahīñ qubūl
ahd-e-junūñ ke chāk-e-garebān kī tarah
tevar se us ke aag tamannā meñ lag ga.ī
jalne lagā hai dil mirā shamshān kī tarah
tere baġhair 'sāhnī' tāroñ ke darmiyāñ
mahfil udaas thī rah-e-vīrān kī tarah
Top Urdushayar.com