Jafar Sahni

har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
har samt uḌī gard mire shahr-e-gumāñ meñ
mahsūr tamannā hai zamāne ke dhuāñ meñ
sannāTe kā jo qissa sunāne meñ magan hai
raqsāñ thā kabhī shor usī ujḌe makāñ meñ
ḳhushiyoñ ko badan par jo lapeTe hue kal thā
hai aaj sharābor vahī dard nihāñ meñ
ma.adūm huā gul kā nishāñ sahn-e-chaman se
ḳhushbū hai magar ab bhī basī bād-e-ravāñ meñ
har ḳhvāb kī ta.abīr nazar aa.ī hirāsāñ
nāpaid huā josh-e-junūñ mard-e-javāñ meñ
fardā kī galī meñ vo baḌā kaam karegī
ik zid hai khilaune kī jo ma.asūm fuġhāñ meñ
guzrī huī saa.at ko palaTne meñ lagā hai
kuchh baat nazar aa.ī use kār-e-ziyāñ meñ
pur-kaif huī 'sāhnī' har saañs kī aahaT
mauhūm ishāra jo milā vaqt-e-girāñ meñ
Top Urdushayar.com