kabhī nāzuk kabhī behad kaḌā hai
vo 'tuġhlaq' sāmne ban kar khaḌā hai
ḳharāsheñ paḌ ga.ī haiñ āsmāñ par
zamīñ se aaj shāyad vo laḌā hai
vo ab be-kār shai hai apne ghar kī
kabhī andar kabhī bāhar paḌā hai
zamāna saath thā bādal meñ us ke
chamaktī dhuup meñ tanhā khaḌā hai
ḳhizāñ kā rañg hai kaisā suhānā
na patta peḌ se koī jhaḌā hai
bahut ilzām kī bārish huī thī
na Thahrī buuñd vo chiknā ghaḌā hai
muqaddar ḳhvāb saa.e kā hai chamkā
mire qad se bhī 'ja.afar' vo baḌā hai