ek ma.asūm tamannā kī fazā thī kal tak
zindagī aisī kahāñ hosh-rubā thī kal tak
ġhaiz āñdhī kā banā ab hai muqaddar merā
dil ke āñgan meñ mahaktī sī sabā thī kal tak
naġhmagī aa ga.ī kis taur se us ke lab par
jis kī āvāz tarannum se judā thī kal tak
aaj ḳhāmosh bahut bazm-e-bahārāñ kyuuñ hai
gungunāte se libāde meñ havā thī kal tak
husn kī shoḳh-nazar māñge hai qīmat apnī
jhuktī āñkhoñ ke darīche meñ hayā thī kal tak
ye jo hañgāmoñ se marbūt hai mahfil merī
kaif-zā dil-rubā bulbul kī sadā thī kal tak
sar-nigūñ vaqt ke qadmoñ meñ hai ḳhvāhish apnī
varna har saañs meñ ik mauj-e-anā thī kal tak
ab kahāñ shauq ko miltā hai baḌhāvā 'ja.afar'
narm palkoñ meñ ghulī ek adā thī kal tak