pur-shor talātum kā mudāvā koī aahaT
sañgīn fazā meñ thī dilāsā koī aahaT
be-dard havāoñ ne hirāsāñ to kiyā thā
thī saath magar un ke shanāsā koī aahaT
jab kaalī ghaTā qahr kā sāmān banī thī
de kar ga.ī bijlī kā ujālā koī aahaT
goshe meñ tasavvur jahāñ bīmār paḌā thā
kartī thī mohabbat se ishāra koī aahaT
ḳhāmosh ḳhayāloñ ke qafas meñ tū paḌā rah
jāgegī nahīñ dar pe dobāra koī aahaT
sailāb ke narġhe meñ ghirī jab se tamannā
ik sapnā dikhātī hai suhānā koī aahaT
kartī hai kabhī ġhaiz kī bāñhoñ ko pakaḌ kar
bechain samundar meñ tamāshā koī aahaT
ik yaad kā āñchal jo uḌā tez havā meñ
dene lagī hamdard bulāvā koī aahaT
rahmat bharī āñkhoñ se zarā dekhnā 'ja.afar'
tūfān meñ DhūñDe hai sahārā koī aahaT