Jafar Sahni

dil mein baiTha tha ek Dar shayad

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
dil meñ baiThā thā ek Dar shāyad
aaj bhī hai vo ham-safar shāyad
haath patthar se ho ga.e ḳhālī
peḌ par hai nahīñ samar shāyad
DhūñDhtā thā vajūd apnā vo
thā idhar ab gayā udhar shāyad
surḳhiyāñ ug rahī haiñ dāman par
ho gayā haath ḳhuuñ se tar shāyad
phuul ulfat ke khil rahe hoñ jahāñ
hogā aisā bhī ik nagar shāyad
bekalī baḌh ga.ī hai dariyā kī
kah gayā jhuk ke kuchh shajar shāyad
dard kā ho gayā hai maskan vo
log kahte haiñ jis ko ghar shāyad
mil ke un se ḳhushī huī mujh ko
vo bhī hoñge to ḳhush magar shāyad
rote rote hañsī mirī ḳhvāhish
mil ga.ī ik na.ī ḳhabar shāyad
din kā kaTnā muhāl hai to sahī
raat ho jā.egī basar shāyad
aag paanī meñ jo lagātā hai
vo bhī hogā koī bashar shāyad
sehn-e-dil se ḳhushī nahīñ guzrī
rāsta thā vo pur-ḳhatar shāyad
dhuup ke ghar ghaTā ga.ī 'ja.afar'
ḳhushk karne ko bāl-o-par shāyad
Top Urdushayar.com