Jafar Sahni

har taraf mauj-e-bala ki si rawani dekhi

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
har taraf mauj-e-balā kī sī ravānī dekhī
ashk kī god meñ majbūr kahānī dekhī
ham badalte hī rahe ishq meñ mausam ke magar
ghar kī chaukhaT pe sadā gard purānī dekhī
dard ke sahn ko dushman nahīñ jaanā ham ne
is meñ dilkash na.ī duniyā kī nishānī dekhī
dasht-e-vahshat kī numā.ish kā havāla de kar
shahr-e-dildār ke tevar kī javānī dekhī
chāñd tāroñ ke tale haath meñ ḳhanjar thāme
muskurātī sī kahīñ ek divānī dekhī
ek āvāz na.ī kaan meñ gūñjī us dam
jab bhī tasvīr zamāne kī suhānī dekhī
ḳhush-libāsī pe havāoñ kī na jaanā 'ja.afar'
us ke halqe meñ pareshān sī raanī dekhī
Top Urdushayar.com