Jafar Sahni

KHamosh nigahon se wo yalghaar ka hona

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
ḳhāmosh nigāhoñ se vo yalġhār kā honā
miltā hai nafī meñ kisī iqrār kā honā
mahfūz mire ḳhvāb ko batlātā nahīñ hai
ik aks-e-taraddud meñ nigah-dār kā honā
hairat meñ nahīñ Dāltā ab shahr-e-gumāñ ko
har roz lahū-rañg meñ aḳhbār kā honā
āsār-e-ta.alluq ko jalā detā hai aksar
gumnām kisī dard meñ ġham-ḳhvār kā honā
raste ke takalluf se chalo baat kareñ kuchh
mumkin nahīñ har moḌ pe ghar-bār kā honā
lamhoñ ke ishāroñ se ayaañ hone lagā hai
galiyoñ meñ mire yaar kī aġhyār kā honā
kartā hai bahut yaad shab-o-roz mirā dil
phūloñ ke nagar meñ rah-e-pur-ḳhār kā honā
aqlīm-e-jafā-kesh meñ tum dekhnā 'ja.afar'
lāzim hai pas-e-dar kisī dīvār kā honā
Top Urdushayar.com