poshīda thā jo sab pe ayaañ kyuuñ nahīñ huā
haq meñ hamāre nek gumāñ kyuuñ nahīñ huā
sarsabz ho ke dil-nashīñ ban jaatī ye zamīñ
aisā gudāz sail-e-ravāñ kyuuñ nahīñ huā
naġhmoñ ke darmiyān fasāna thā pur-kashish
dilkash fazā meñ raqs javāñ kyuuñ nahīñ huā
kal tak galī hamārī daraḳhshāñ na ho sakī
ab to batāo aisā miyāñ kyuuñ nahīñ huā
shān-o-shikoh meñ vo hamesha thā tāza-dam
ghar kī fazā meñ jazb makāñ kyuuñ nahīñ huā
jaltā rahā hamārā zamāna chahār-sū
sho.aloñ ke beach us kā jahāñ kyuuñ nahīñ huā
chehra khulā sā un kī nazar ke qarīb thā
pesh-e-nigāh dard-e-nihāñ kyuuñ nahīñ huā
hairat-zada thī aql hamārī ye soch kar
jo kuchh vahāñ huā thā yahāñ kyuuñ nahīñ huā
hamd-o-sanā duā se sañvārā gayā thā shahr
'ja.afar' magar vo jā-e-amāñ kyuuñ nahīñ huā