lamhoñ ke ishāre meñ jafā dekh ke chup hai
kis vāste har ġham ko ḳhudā dekh ke chup hai
bādal kī riyāsat meñ sisaktā sā ujālā
shab-tāb kī ma.asūm ziyā dekh ke chup hai
dahshat ke havāle se pareshān kabhī thā
har shāḳh meñ ab phuul khilā dekh ke chup hai
sarsabz libāde meñ sajā.e thā jo sapnā
chehre kā abhī rañg uḌā dekh ke chup hai
dil-shād manāzir ke ahāte meñ zamāna
māyūs tasavvur ko khaḌā dekh ke chup hai
dastak kabhī tūfān kī pur-josh thī 'ja.afar'
bikhrī huī ḳhushbū kī ridā dekh ke chup hai