Jafar Sahni

pichha hi nahin chhoDti ghar bar ki KHushbu

Jafar Sahni

Begusarai, Bihar, India

1941-2018
pīchhā hī nahīñ chhoḌtī ghar baar kī ḳhushbū
raste se ayaañ hai dar-o-dīvār kī ḳhushbū
kab kaise kahāñ se banī pur-pech galī meñ
bechain kiye rahtī hai asrār kī ḳhushbū
maiñ apne tasavvur meñ huuñ ḳhush-hāl barādar
qadmoñ meñ paḌī hai mire darbār kī ḳhushbū
tum ajnabī qadmoñ se nikal jaao musāfir
paanā hai kisī aur ko gulzār kī ḳhushbū
ashkoñ ke jharoke meñ bhī dar aa.ī hai aksar
hairān tabassum meñ basī yaar kī ḳhushbū
ik gul pe qanā.at hai kahāñ bahtī havā ko
har-vaqt liye phirtī hai do-chār kī ḳhushbū
barsoñ jo rahī dafn kisī zaḳhm-e-jigar meñ
paa.el se ugī aaj vo jhankār kī ḳhushbū
āvāz pe takiya na lagānā kabhī 'ja.afar'
ḳhāmosh sadā detī hai us paar kī ḳhushbū
Top Urdushayar.com