Mohammad Ismail Aasi Aarwi

rudad-e-gham mein DhunDiye lutf-e-bayan nahin

Mohammad Ismail Aasi Aarwi

rūdād-e-ġham meñ DhūñDiye lutf-e-bayāñ nahīñ
ye to hadīs-e-dil hai koī dāstāñ nahīñ
shikva nahīñ gila nahīñ āh-o-fuġhāñ nahīñ
apnā jo haal hai vo kisī par ayaañ nahīñ
apnā yaqīñ kabhī bhī asīr-e-gumāñ nahīñ
ai shaiḳh un ke mere koī darmiyāñ nahīñ
ai dil jafā-e-ahl-e-jahāñ se na ho malūl
in kī razā jo ho to musībat garāñ nahīñ
kyā DhūñDhtā hai is meñ ġham-o-rañj ke sivā
ye merī dāstāñ hai tirī dāstāñ nahīñ
ishq-e-sitam samajh ke zarā ai nigāh-e-dost
ye terā imtihāñ hai mirā imtihāñ nahīñ
hairān huuñ vahāñ maiñ kahūñ kyā zabān se
'āsī' nigāh dil kī jahāñ tarjumāñ nahīñ
Top Urdushayar.com