vaise is āb-o-gil meñ kyā na huā
koī banda magar ḳhudā na huā
uf re un ke jamāl kā aalam
mujh se iz.hār-e-mudda.ā na huā
sāqī-e-mai-kadā ne jo de dī
maiñ use pī ke bad-maza na huā
mujh se ibrat jahāñ ko hāsil hai
maiñ burā ho ki bhī burā na huā
zaḳhm dil kā shumār kaun kare
tiir us kā koī ḳhatā na huā
mar gayā 'āsī'-e-shikasta-dil
ye bhī achchhā huā burā na huā