dekhā hai ik nazar unheñ anjām jo bhī ho
qismat meñ apnī ai dil-e-nākām jo bhī ho
merī nazar pe saarā zamāna hai mo'tariz
lekin vo ik adā hai lab-e-bām jo bhī ho
imkān phir rihā.ī kī kartā hai koshisheñ
murġh-e-balā-nasīb tah-e-dām jo bhī ho
kuchh īn-o-āñ ko daḳhl nahīñ rāh-e-ishq meñ
ab un kā mere vāste paiġhām jo bhī ho
āñkhoñ meñ vaqt-e-dīd kuchh aañsū zarūr the
ham par ab is ke vāste ilzām jo bhī ho
kahtā hai dil kī baat magar apne sher meñ
qismat kā maarā 'āsī'-e-gumnām jo bhī ho