hazār zaḳhm haiñ dil par jigar pe khaa.e hue
magar mile jo kisī se to muskurā.e hue
kuchh is adā se vo aa.e nazar jhukā.e hue
tamām rah ga.e shikve zabāñ pe aa.e hue
udhar to sāġhar-o-paimāna vaale rahte haiñ
udhar kahāñ chale vaa.iz qadam baḌhā.e hue
baḌho kuchh aur ki tārīkī-e-jafā kam ho
isī tarah se charāġh-e-vafā jalā.e hue
hameñ satāne se baaz aaoge yaqīñ to nahīñ
tumhāre kitne hī va.ade haiñ āzmā.e hue
tumhāre tīr-e-nazar ko kisī ne kuchh na kahā
hamārī aah ko haiñ dāstāñ banā.e hue
hamārā zikr aur is mai-kade meñ ai 'āsī'
yahāñ to shaiḳh-o-barahman haiñ Dagmagā.e hue