Mohammad Ismail Aasi Aarwi

dayar-e-ishq mein waiz KHirad ka kaam nahin

Mohammad Ismail Aasi Aarwi

dayār-e-ishq meñ vaa.iz ḳhirad kā kaam nahīñ
udhar na bhuul ke jaanā vo rāh-e-ām nahīñ
vo sub.h sub.h nahīñ hai vo shaam shaam nahīñ
ki jis meñ un kī taraf se koī payām nahīñ
vo rāh-rau huuñ ki manzil nahīñ qayām nahīñ
talāsh-e-dost meñ kuchh qaid-e-sub.h-o-shām nahīñ
ye kaif-e-ishq hai vaqtī surūr-e-jām nahīñ
tirī tarah mirā nāseh ḳhayāl ḳhaam nahīñ
nigāh-e-qahr kā markaz thā kaun mahfil meñ
huzūr kahte haiñ terā koī maqām nahīñ
ye falsafa ye siyāsat ye hikmat-o-dānish
kahāñ kahāñ mirī ḳhātir kamand-o-dām nahīñ
vo dars dete haiñ aḳhlāq kā ab ai 'āsī'
salām kījiye jin ko to leñ salām nahīñ
Top Urdushayar.com