Mohammad Ismail Aasi Aarwi

kya puchhte ho haal-e-dil-e-be-qarar aaj

Mohammad Ismail Aasi Aarwi

kyā pūchhte ho hāl-e-dil-e-be-qarār aaj
jo kal thī hai vo gardish-e-lail-o-nahār aaj
us paikar-e-jafā ko na kos ai dil-e-hazīñ
terī tarah hai vo bhī bahut be-qarār aaj
mere hī dam se rah gayā mai-ḳhāne meñ bharam
varna janāb-e-shaiḳh ko miltā udhār aaj
us ne likhā hai bahr-ayādat kal ā.eñge
jiine bhī degā mujh ko dil-e-be-qarār aaj
kis mast kī duā huī maqbūl-e-bārgāh
aayā hai jhuum jhuum ke abr-e-bahār aaj
mere liye kahīñ bhī jahāñ meñ sukūñ nahīñ
le kar kahāñ chalā hai dil-e-be-qarār aaj
us gul ne jaane kyā mire baare meñ kah diyā
guzrī hai mujh se kaT ke nasīm-e-bahār aaj
ye faiz hai 'tabīb'-o-'qatīl' aur 'zār' kā
'āsī' jo shā.iroñ meñ hai terā shumār aaj
Top Urdushayar.com