kahāñ kisī kī nazar hai tirī nazar kī tarah
jo kaam dil kā bhī kartī chale jigar kī tarah
bahut se aise bhī duniyā meñ log milte haiñ
jo bā-ḳhabar haiñ magar haiñ vo be-ḳhabar kī tarah
ye barbariyat-o-vahshat ye aag aur ye dhuāñ
bashar ko rahnā bhī mushkil hai ab bashar kī tarah
asīr-e-hūr haiñ vaa.iz ab un kī kaun sune
kahānī aap kī hai tūl-e-muḳhtasar kī tarah
barasne ko to barastā hai abr-e-naisāñ bhī
magar baras na sakā merī chashm-e-tar kī tarah
na jaane kaun se aalam meñ gum huā 'āsī'
na bā-ḳhabar kī tarah hai na be-ḳhabar kī tarah