na aanā thā na aayā aane vaalā
gayā duniyā se āḳhir jaane vaalā
chhupāo laakh tum apne ko lekin
tumheñ pā kar rahegā paane vaalā
mohabbat ko samajh se vāsta kyā
kaho ab chup rahe samjhāne vaalā
yahāñ be-sūd hai zikr-e-ġham-e-dil
yahāñ koī nahīñ ġham khāne vaalā
mujhe to hai ġharaz insāniyat se
haram vaalā ho yā but-ḳhāne vaalā
samajhne vaalā ab koī nahīñ hai
jise dekho vo hai samjhāne vaalā
hazāroñ milte haiñ ġham dene vaale
koī miltā nahīñ ġham khāne vaalā
sabhī kā tum to ġham khāte ho 'āsī'
tumhārā kaun hai ġham khāne vaalā