Mohammad Ismail Aasi Aarwi

shikasta saz-e-mohabbat ki ek sada hun main

Mohammad Ismail Aasi Aarwi

shikasta sāz-e-mohabbat kī ik sadā huuñ maiñ
jo rah ga.ī hai laraz kar vo iltijā huuñ maiñ
dam-e-nazāra ye dīvāngī-e-zauq-e-nigāh
vo mujh ko DhūñDte haiñ un ko DhūñDhtā huuñ maiñ
jahāñ ye kufr hai taqdīr kā gila karnā
ab is maqām pe apne ko pā rahā huuñ maiñ
salām ai nigah-e-be-niyāz-e-garmi-e-ishq
ḳhatā muaaf ki ab sard ho rahā huuñ maiñ
mirā hī zarf hai is mai-kada meñ ai saaqī
ki jām-e-talḳh bhī hañs hañs ke pī rahā huuñ maiñ
mirī talāsh meñ rahtī hai ḳhud mirī manzil
ġhalat ḳhayāl ki manzil ko DhūñDhtā huuñ maiñ
vahīñ se paa.ī hai manzil kī raah ai 'āsī'
jahāñ pe us kī mohabbat meñ kho gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com