Mohammad Ismail Aasi Aarwi

teri barbaadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai

Mohammad Ismail Aasi Aarwi

tirī barbādiyoñ kā zikr bazm-e-dil-brāñ tak hai
kahāñ kī baat hai ai dil magar pahuñchī kahāñ tak hai
tū kyā jaane mohabbat ke maze ai nāseh-e-nādāñ
pahuñch tirī nigāhoñ kī faqat sūd-o-ziyāñ tak hai
ham insāñ haiñ magar taḳhlīq-e-a.alā haiñ ki ai hamdam
hamāre auj kā charchā zamīñ se āsmāñ tak hai
mohabbat āzmātī hai mohabbat karne vāloñ ko
ye saḳhtī ai dil-e-betāb tujh par imtihāñ tak hai
jahāñ meñ vaise to jiite haiñ sab lekin jo sach pūchho
maza jiine kā duniyā meñ bahār-e-dostāñ tak hai
koī jab dost kahtā hai to sun letā huuñ ai 'āsī'
ki ab to dostī is ahd meñ husn-e-bayāñ tak hai
Top Urdushayar.com