na qahqaha na tabassum na ashk paiham hai
jahāñ pe ham haiñ vahāñ kuchh ajiib aalam hai
jo pahle aaj se thā aaj bhī vahī ġham hai
ye daur-e-jām nahīñ hai fareb-e-paiham hai
burā na maano to ik baat tum se arz karūñ
tumhārā lutf ba-andāza-e-sitam kam hai
ye sub.h-o-shām kī mastī ye nashsha-e-shab-o-roz
tire baġhair koī kaif ho mujhe sam hai
sar-e-niyāz kabhī us ke sāmne na jhukā
isī qusūr pe ham se zamāna barham hai
hai baat baat pe hajv-e-subū-o-sāġhar-o-mai
janāb-e-hazrat-e-vā.is se naak meñ dam hai
nigāh-e-nāz ko taklīf-e-iltifāt na do
ki ab to zaḳhm-e-jigar be-niyāz-e-marham hai
ḳhatā zarūr koī us se bhī huī hogī
ki āḳhir 'āsī'-e-ḳhasta bhī ibn-e-ādam hai