chāhe jo haal bhī ho un kī nazar hone tak
ham jiye jā.eñge aahoñ meñ asar hone tak
be-ḳhudī naam hai ehsās-e-ḳhudī kā shāyad
varna kuchh aur thā mansūr ḳhabar hone tak
sabr se kaam le ai dil is añdhere se na Dar
zulmat-e-shab hai sapedī-e-sahar hone tak
jab jo chāheñ vo kaheñ apne ko vaa.iz lekin
bartarī mujh ko to hāsil hai bashar hone tak
haa.e vo husn-e-yaqīñ aah vo ummīd-e-karam
muntazir thā tirā bīmār sahar hone tak
yuuñ to jiinā hai ba-har-hāl magar ai 'āsī'
zindagī asl meñ hai soz-e-jigar hone tak