kaḌī hai dhuup kare kis tarah safar koī
nahīñ hai raah meñ ab duur tak shajar koī
maiñ apne shahr meñ phirtā huuñ ajnabī kī tarah
ajab nigāh se taktā hai mujh ko har koī
tamām-umr maiñ ḳhud apne aap meñ gum thā
talāsh kartā rahā mujh ko umr-bhar koī
maiñ ek rāhguzar kī talāsh meñ huuñ magar
talāsh kartī hai mujh ko bhī rahguzar koī
maiñ barguzīda buzurgoñ kī ik nishānī huuñ
mujhe bhī dekh le jī-bhar ke ik nazar koī
hamārī bastī meñ kahne ko log baste haiñ
makān chāroñ taraf haiñ nahīñ hai ghar koī