maujoñ kā shor-o-shar hai barābar lagā huā
dariyā se is qadar hai mirā ghar lagā huā
aisā na ho ki TuuT paḌe sar pe āsmāñ
hai kuchh dinoñ se mujh ko baḌā Dar lagā huā
ab us ke shar se ḳhud ko bachānā bhī hai mujhe
rahtā hai mere saath jo aksar lagā huā
had chhū rahī thī raat jahāñ tishnagī mirī
thā us ke ba.ad ek samundar lagā huā
sannāTe chīḳhte haiñ mire chār-sū magar
dil meñ hai iztirāb kā mahshar lagā huā
dushman kī baat chhoḌiye hairat hai ḳhud mujhe
gardan se aaj bhī hai mirā sar lagā huā
taktā huuñ be-qarār nigāhoñ se baar baar
hai āsmāñ se merā kabūtar lagā huā