nazar se duur hote jā rahe haiñ
sarāpā nuur hote jā rahe haiñ
jinheñ badnām karnā chāhte ho
vahī mash.hūr hote jā rahe haiñ
ham āġhāz-e-safar se pahle hī kyuuñ
thakan se chuur hote jā rahe haiñ
baḌhī hai raushnī tahzīb-e-nau kī
makāñ be-nūr hote jā rahe haiñ
har ik apnā janāza Dho rahā hai
sabhī mazdūr hote jā rahe haiñ
khile the phuul zaḳhmoñ ke jo ik din
vo ab nāsūr hote jā rahe haiñ