nikal to aa.e is ujḌe hue makān se ham
tamām shab rahe mahrūm sā.ebān se ham
ham apne vaqt ke baalā buland sūraj the
ġhurūb ho ga.e kis tarah darmiyān se ham
zarā bhī jis meñ nasīhat ho kuchh hidāyat ho
nikāl dete haiñ vo baat apne kaan se ham
dil o dimāġh nahīñ lafz hī karishma hai
to kyā ajab ki hue qatl is zabān se ham
visāl-e-yār se achchhā to hijr hī hai ki ab
sukūñ se rahte haiñ vo bhī aur apnī shaan se ham
ye sar buland to ho jā.egā magar 'jāved'
zarūr jā.eñge ik roz apnī jaan se ham