maiñ kaise lauT ke jā.ūñgā apne ghar yaaro
ke mere qadmoñ se lipTī hai rahguzar yaaro
na raas aa.egā mujh ko koī shajar yaaro
abhī tavīl bahut hai mirā safar yaaro
abhī to shānoñ pe qaa.em hai merā sar yaaro
junūñ nahīñ hai abhī merā mo'atabar yaaro
sitam to dekhiye parvāz kī duā de kar
kutar rahā hai koī mere bāl-o-par yaaro
vo ek lamha ki jo hāsil-e-hayāt bane
talāsh kartā hai insān umr-bhar yaaro
maiñ āsmāñ huuñ bulandī maqām hai merā
jhukā.e phirtā huuñ phir bhī maiñ apnā sar yaaro
tamām-umr kā hāsil hañsī ghaḌī-bhar kī
kahāñ se laa.e koī phuul kā jigar yaaro