zamīñ se uTThe haiñ yā āsmāñ se aa.e haiñ
ye log shahr meñ jaane kahāñ se aa.e haiñ
unhīñ ko haq hai bahāroñ ke ḳhair maqdam kā
guzar ke jo kisī daur-e-ḳhizāñ se aa.e haiñ
hadaf koī ho kahīñ ho yaqīn hai mujh ko
ye saare tiir usī kī kamāñ se aa.e haiñ
vahāñ se lauT ke aane kā dil na kartā thā
palaT ke shahr meñ apne jahāñ se aa.e haiñ
ye kaun log haiñ milne ke vāste ham se
idhar udhar se yahāñ se vahāñ se aa.e haiñ