dil kī duniyā hai musībat se bharī rahtī hai
phir bhī har shāḳh tamannā kī harī rahtī hai
jaane kab aa ke vo darvāze pe dastak de de
zindagī maut kī aahaT se Darī rahtī hai
ḳhvāb meñ bhī nahīñ dekhā kabhī chehra us kā
dil ke ā.īne meñ sunte haiñ parī rahtī hai
maiñ sikandar huuñ na suufī na qalandar yaaro
phir bhī raushan mirī āshufta-sarī rahtī hai
ek hī pal meñ palaTtī hai lakīroñ jaisī
jaise har saañs hathelī pe dharī rahtī hai