jāntā huuñ harīf-e-jāñ haiñ sab
haañ magar aaj vo kahāñ haiñ sab
ek maiñ hī zamīñ kī sūrat huuñ
aur baaqī to āsmāñ haiñ sab
kaun merī zabāñ samajhtā hai
yuuñ to kahne ko ham-zabāñ haiñ sab
maiñ sabhī ko samajhtā haq-go huuñ
aur mujh se hī bad-gumāñ haiñ sab
kaun sī maslahat hai jo mujh par
is qadar aaj mehrbāñ haiñ sab
sun ke saare hī sānehāt mire
log bole ki dāstāñ haiñ sab