chāhat meñ āsmāñ kī zamīñ kā nahīñ rahā
kyā bad-nasīb thā vo kahīñ kā nahīñ rahā
duniyā ke inhimāk meñ diiñ kā nahīñ rahā
ghar us kā jis jagah thā vahīñ kā nahīñ rahā
ye aur baat hai ki hameñ e'tibār ho
varna zamāna aaj yaqīñ kā nahīñ rahā
haañ kah ke apnī jaan bachāne lage haiñ log
ya.anī ki ab zamāna nahīñ kā nahīñ rahā
peshāniyoñ pe naqsh to sajde kā ban gayā
lekin kahīñ nishān jabīñ kā nahīñ rahā
'jāved' apne fikr-o-nazar āsmāñ se lā
pyāre zamāna ḳhāk-nashīñ kā nahīñ rahā