samajh sakā na koī aaj tak ki kyā huuñ maiñ
havā ke dosh pe jaltā huā diyā huuñ maiñ
vajūd hogā mujassam mirā kabhī na kabhī
abhī to terī fazā meñ bikhar rahā huuñ maiñ
ye kaise kah duuñ ki pahchāntā bhī huuñ us ko
vo jis ko ek zamāne se jāntā huuñ maiñ
duā qubūl huī iztirāb baaqī hai
yahī bahut hai ki kuchh kāmyāb sā huuñ maiñ
na jaane kab maiñ kināre pe jā lagūñ 'jāved'
savār naav pe huuñ aur Dūbtā huuñ maiñ